MuKhtalif JalvE

Woh bhi kya log thai
asaan thi raahein
Jin ki bandh aankhein kiye
ek simat si chale jaati thi
aqal o dil - khwaab o haqeeqat
ki na uljhan na khalish
mukhtalif jalve nigaahoon ko na bahlaati thi
ishq sadaa bhi
tha bekhud bhi
tha junoon peshaa bhi
husn ko apni adaaoo pe hijaab aata tha
phool khilte Thai ToH PhOOlo MaI Nasha hota tha
RaaT DHALtI toh sheeshoon pe shabaab aata tha
Chandni Kaif-aSar rUUH aafza hoti thi
Aber aata tha toh badh-mast bhi hoo jaate thai
Din mai shorish bhi hua karti thi hungaame bhi
Raat Ki guud mai muh dhaanp ke soo jaate thai
Narm rau waqt ke dhaare pe saffeen thi ravaan
Saahil-o-bahar ke aa-inn na badalte thai kabhi
Naa khudahoo pe bharoosa tha , muqadder pe Yakin
Chaadar-e-aab se toofaan na ubalte thai kahin
Hum ke toofaano ke paaley bhi sataye hai kabhi
Barq o bara mai woh hi shamey jalaye kaise
Yeh jo aatish-kadaa duniyaa mai bhadak uthaa hai
aansoon se har baar bhujaaye kaise


hmmm abhi aur baaki hai..