JaSHan e BahARA

Kehne ko Jashan-e-bahara hai
Ishq yeh dekhke hairaan hai

Kehne ko Jashan-e-bahara hai
Ishq yeh dekhke hairaan hai

Phool se khusboo khafa khafa hai gulsan mein
Chupa hai koi ranj fiza ki chilman mein

Sare sehmein nazare hain
Soye soye vaqt ke dhare hain
Aur dil mein koi khoyi si baatein hain

Kehne ko Jashan-e-bahara hai
Ishq yeh dekhke hairaan hai

Phool se khusboo khafa khafa hai gulsan mein
Chupa hai koi ranj fiza ki chilman mein

Kaise kahen kya hai sitam
Sochte hai abb yeh hum
Koi kaise kahen woh hai ya nahi humare
Karte to hai saath safar
Fasle hain phir bhi magar
Jaise milte nahi kisi dariya ke do kinare

Pass hain phir bhi paas nahi
Humko yeh gum raas nahi
Seeshe ki ek diware hai jaise darmiyan



By My CLoSe fRIenD fahAD..DUnnO fRM wHEre hE GOt iT